Tuesday, June 23, 2009

Chaos Order II- You reap what you sow!

JUN 23 - Pakistan ki cricket team nay 20 over per mubni world cup match Sri Lankan team kay khilaf jeet kar bohut hi maqbooliat haasil ki. Bohut khushi ki baat hai aur har Pakistani koh bohut khush hona bhi chahiyeh.

Qaum koh bohut arsey keh baad aik khushi ki khabar mili hai. Allah khair karey.

Aakhri dafa aisi achhi khabar May 1998 mey mili thi jab qaum ney India key khilaf jawabi nuclear tests kar key sabit kar dya tha keh Pakistan apney dushman kay khilaf zaroorat parney per nehley per dehla bhi karna janta hai.

Nawaz Sharif choon keh uss daur keh Wazeer-e-Azam thay is liyeh us kamiyabi keh mubarkbad ke haqdaar baney aur baney chaltey aa rahey hain. Kyun ji?

Poori qaum ney iss baar Pakistan team ki jeet per jashn manaya aur poorey mulk mein iss khabar ka khushi khushi istiqbaal kya gaya.

Sadar Zardari sahib ney jeetney wali cricket team keh har fard koh 5 lakh rupeye deney kah ailaan bhi kya. Saath hi saath Wazeer e Azam Gilani sahib ney apni siyasi haisiyat kay mutabiq team ko khaney per daawat bhi dih hai.

Gilani sahib ney cricket team membaran ko koi paisey deney ya na naa deneh ka faislah kya hai keh nahin hamein iska ilm nahin hai. Na koi aisi khabar shaya huwi hai ab tak.

Such baat tau yeh hai kay mujhey itni khushi nahi huwi is jeet per jaisa keh pehley kay jeeton per hoti thi.

Baat darasal yeh hai keh agar koi swimmer darya cross karney ki saal ha saal training le aur paisey le laikin sirf aik chota sah taalaab cross karney ki hi salahiyat show karey tau kya humein uskay performance per khush hona chahiyeh? Woh alag baat hai keh qaum ka expectations level itna gir chuka ho keh itni khushi hi kaafi hai.

Meri nazar mein 20 over per mubni match jeetna aik naalaa cross karney keh mutaradif hai. Baat tub hogi jab Test Match jita jaye. Yah phir 50 overs wala match jita jaye.

Performance time aur standards koh lower kar ke teemein apni salahiyaton ka meyar qaum say accept nahi kara sakti hain. Isi tarah jaisey kisi aik BATTLE koh jeet kar WAR koh jeetney ka haq nahin jataya ja sakta. Woh alag baat hai keh koi karigar Tajmahal bananey ki salahiyat bhool jaye. Is soorut mein usko practice karaney keh liyeh Tajmahal ki jagha koi maqbara bananey ka theka de dya jaye tau koi mazaheqa nahin. Is maqbarey koh bananey mein us karigar koh mubarak baad wusool karney ki zaroorat nahin hai. Agar woh aisa karta hai toh ghalat baat hai.

Pakistan mein bohut saarey standards gir gaye hain. Values bhi narrow down ho gaye hain. Siyasi nizam, judiciary nizam aur iqtisadi nizam ki adam maujoodgi ki wajah sey goals and objectives bhi majmuee taur per low ho gaye hain. Jab keh dunya aagey barhti ja rahi hai jis tarah internet barhta ja raha hai.

Kya hamari asli jeet yani kamiyabi 20 overs ke match ke level ki hi hai ya phir 5-days international test match keh level ki hai? Zara aap khud sochein is baath koh.

Kya shortcuts le kar hi hum kamayab ho saktey hain? Kya rules of games change kar ke hi hum asli kamayabi ke humkinar ho saktey hain?

Taareekh ney apna standard khud muqqarrar kya huwa hai. Taareekh ney na tau koi short cut accept kya hai na hi koi short cut koh recorgnize kya hai.

Taareekh short cut lenay wali qaumon yah teemon yah shakhsiyat koh yaad bhi nahi rakhti.

In fact, hiqarat ki nigah seh dekhti hai.

Hamarey South Asia mein teen log hain yani Zulfiqar Ali Bhutto, Shaikh Mujibur Rehman aur Indira Gandhi jinhon nay short cuts liye. Kuchh dinoh keh liyeh woh maqbool huweh aur unki qaumon neh khushiyan manayeein. Us keh baad ka haal hum sub koh maaloom hai.

Mera khayal hai keh agar qaum isi tarah chhoti khushiyan seh faizyab ho sakti hai tau hamen chahiyeh keh siyasat daanon koh bhi TEAM20 ki tarah aik chhota sa ilaqa hukoomat karney keh liyeh deh dein.

Jub chhotay ilaqay per hukoomat karney mein kamiyab ho jayein tau T20 team ki kamiyabi ki tarha hum bhi in siyasat danoh koh mubarak baad de kar mulk ki badi team mein accept kar saktey hain. Is baat mein koi mazaeqa nahin.

Practice makes perfect!

No comments:

Post a Comment