Sunday, June 21, 2009
Darya Darya Hai Aur Sahil Sahil Hai
Kehtey hain keh Darya Darya hota hai aur Sahil Sahil hota hai. Na Darya Sahil ban sakta hai aur na hi Sahil Darya .
Agar Darya Sahil ko chhoo lay toh kehtey hain keh Sailab aa jaya karta hai aur agar Sahil Darya mein utar jaye tau Qehat aa jaya karta hai.
Baat bhi kisi had tak sahi hai. Har cheez ko apna hi role ada karna chahiyeh warna garbar ghutala ho jata hai! Ha Ha Ha!
Kal, Saturday Jun 20, 2009 koh mein ney kuch ex-NEDians ki Barbecue party attend ki. New Jersey keh aik haseen picnic spot Spruce Run Reservoir mein arrange kya gya tha. Har saal isi muqaam per kya jata hai. In Ex-NEDians key liyeh yeh picnic ka ihtmimam Arshad Rizvi Sahib kya kartey hain. Hamesha sey. Eid milan party bhi woh hi arrange kartey hain. Is saal bhi karengey, unho ney bataya.
Kaayee saalhon keh baad mein ney yeh decide kya keh mein chunkeh aik Ex-NEDian bhi hoon is liyeh mujhey bhi is picnic mein shamil hona chahiyeh. Mein ney phir is dafa is picnic koh attend kiya. Bohut hi mazaah aya. Kayee sarey puraney doston seh aur siyasi saathiyon sey mulaqatein huween.
Picnic keh hi doran barish bhi shurooh ho gayee. Log bhookey thay. Iss liye barish kay bawajood barbecue karney per lagey rahey. Dilchasp manzar tha. Tasveerein lin mein ney. Chand yahan paish kar raho hoon. Aik tasvir toh mein ney apney website pkonweb.com aur phir despardes.com key photo sections per bhi lagaye hain.
Mujhey raha nahi gaya jis tarha logh barbecue karney mein masroof thay.
Kehney ka matlab yeh hai keh agar koi shakhs ya kuch log yeh baat tae kar layn keh mujhe yah hamen yeh kaam zaroor karna hai ya hona hai tau aandhi aye yah toofan, woh kaam kum o baish har soorat mein mukammal ho jata hai. Aur woh kaam waqayee ho gaya. Is picnic mein!
Barbecue was done rain or sunshine, come what may!
Azm ki baat hai aur hausley ki zaroorat hoti hai. Baaqi har cheez khud ba khud apni jagha dhoond hi leta hai.
Logon ney baarish keh bawajood barbecue chicken tikkey, bun kabab, hot dogs aur deegar items barey mazey ley ley kar banaye aur phir khaye.
Tae yeh huwa hai keh August 8 koh hum sub phir milengey.
Dekhteh hain aisa hota hai keh nahin - koi wajha nahin kay aisa naa ho. Kyun kay naa tau yahan koi load shedding hoti hai na koi pahia jaam. Sirf mausam ka dar rehta hai laikin. Siyasi mausam ka nahin asal mausam ka. Triple one brigade ka bhi nahin na 'Aye Hamarey Hum Watanon! Ka aur naa hi us mashhoor jumley ka kay ji 'Mein bhoool gaya thaa'.
Ajeeb baat hai keh is dafa mujhey Pakistan kay do trips ki aik baat bohut zyada yaad aayee.
Logon ka har waqt kehna: Aao Baith Kay Baat Kar Letey Hain (ABKBKLH).
Is picnic mein aisa koi jumla sunney mein nahin aya. Kisi ney ABKBKLHing nahin ki.
Choon kay sub kum aur baish aik hi age group kay thay is liyeh ya toau cholesterol level, sugar ki position aur blood pressure ka haal poocha ja raha tha yaa phir naukri mein ya karobar mein kya ho raha hai woh poocha ja raha tha.
Uss kay baraks Karachi mein aisay hi group ki daawat mein caroron ka ghar bananey ki baatein ho rahi theen ya caroron ka ghar bana kar us ki baatein ho rahi theen.
Farq saaf zahir hai.
Wahan paisa lifestyle hai aur yahan lifestyle hi paisa hai. Kya khayal hai aap ka?
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment